Friday

Maa & Baap




Ek Pedh Jisne Kabhi Mujhe Dhup Lagne Na Di,
Apne Aanchal Mein Chupa Ke Rakha Nazar Kisi Ki Lagne Na Di

Yaad Ate Hai Bachpan Ke Din Jab Tu Mujhe Khilati Thi,
Har Bar Rone Par Tu Hi Mujhe Hasati Thi

Achi Neend Ke Liye Naajane Kaha Kaha
Se Nayi Loria Aur Kahaniya Lati Thi,
Ro Padhta Hai Yeh Dil Yad Karke Woh Din
Jab Haatho Se Apne Khana Khilati Thi


**********************************************************

Waqt kitna badal jata ha,kal jab hum chhoty thay,, aur koi hamari baat samajh nhi pata tha, tab sirf ek hasti thi jo hamary toty photy ilfaz samajh jati thi. . . . . . . .
aur. . . . . . .
aj hun usi hasti ko yeh kehty hen k . . . . . .
(ap nhi janti)
(ap nhi samajh pain gi)
(ap ki baten mijhey samajh nhi aten)
.
.
.
.
RESPECT that great relation. . . . . . . ..
.
.
.
MAAN


**********************************************************


“MAA” ki aik DUA zindagi bana degi

Khud roy gi magar tume hansa degi

Kahi bhool k bhi na “MAA” ko rulana

aik choti si ghalti poora Arsh hilla degi


**********************************************************

Example of Real Love:

Sakht Garmi ki wja se Jism se Pasena behta hai,
Mene jab ye Pasena Apni Girl fiend k dupate se poncha To
Unho ne kaha yar dupata Ganda na kro,

Jab Mene Paseena MAA k Duppatte se puncha To
MAA ne kaha ye Dupata Ganda hai Main Tujhe saaf kapra deti hoon.

"Always Love your Mother"
True lover

**********************************************************

Poochta Hai jub koi ke Dunya main Mohabbat Hai Kahan....


Muskura Deta hoon main aur yaad aa jati hai

.....MAA....

**********************************************************


Log Masjidon Main Jannat Talash Kartay Hain,


Fursat Itni Nahi Hoti Qadam Maa K Choom Lain.

HAPPY MOTHER'S DAY


**********************************************************


Chahe hum Khushiyon Mein Maa ko bhool Jayen Dosto!


Jab Musibat Sir pe Aati hai to Yaad Aati hai Maa.


**********************************************************


MAA Tab Bhi Roti Thi,

Jab Beta Khana nahi Khata Tha,

Aur MAA Aaj Bhi Roti Hai,

Jab Beta Khana Nahi Deta.

Please Love Your Mom...
I LOVE YOU MAA.


**********************************************************


Koi bataye is lafz ka matlab.


Pyar
Wafa
Muhabbat
Lagan
Qurani
Parwa
Sachai
Khuloos
Pakeezgi,
Sukoon
Khidmat
Mehnat
Dua
Dost
Hamadard
Rehnuma
Ustaad
BayGharz
Maasoomaiyat
Ibadat
Imaan
Diyanat
Jazba

Ye sab Meri MAA ki khubiyon ki ek jhalak hai, Warna meri MAA ki khobiyan to itni hain alfaaz khatam ho jaen, magar Maa ki tareef puri nahi ho sakti.


**********************************************************


Sakht raston main bhi asaan safar lagta hai..

Yeh mujhe MAA ki Duaon ka asar lagta hai..

Ek mudat se meri MAA sohi nahi Tabish..

Maine ek bar kaha tha MAA mujhe dar lagta hai..

**********************************************************


Log Masjidon main Jannat Talash Kartay Hain,
“GHALIB”

Fursat Itni Nahi Hoti Qadam Maa K Choom Lain…

**********************************************************

Maa Ke Qaaddmo Mei Meri Jannat He
Us Ki Khushio Ki Raab Se Mannat He
Us Ka Aanchal Sadan Rahe Sar Pe
Rab Se Mangi Ye Hi Mannat He

**********************************************************

Rato ko jag k hum ko sambhala
Khud dard sah k hume khush rakha
Khud na kha k humko khilaya
Duniya me uthne bethna ka tariqa sikhaya

    ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
    | HAPPY MOTHERS DAY |
    ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

**********************************************************

Maa ki 1 dua zindagi bana degi
Khud royegi magar ap ko hansa degi
Bhol kar bhi maa ko na rolana
Ek choti si baddua pura ARSH hila degi

**********************************************************

aaj hamara unwan hai
MAA
maa kon hoti hai
















abbu ki wife
itna bhi nh pata
HAPPY MOTHERS DAY>>>>>>

**********************************************************

Jis mein Simte sara jahan,
Chhota sa Wo aik lafz hai "MAA"

Is Rishte se sab hain Waqif
Koi na Samjhe kya hai "MAA"

Pyar or Mohabbat kare har Dam
Chahat ka aik Khazana hai "MAA"

Qadmon Tale hai Janat Us ke
Itni Azeem hoti hai "MAA"

Uski Azmat Un se Poocho
Jin ke pas Nahin hai "MAA"

Badal nahin Us ka Duniya Bhar mein
Aik aisa lazawal Rishta hai "MAA"


**********************************************************

MAA Sath Hai to Saya-e-Qudrat Bhi Sath Hai,

MAA k Bagher aisa Lagay Din Bhi Rat Hai,

Main Door Hoon To Uska Mere Sr Pe Hath Hai,

Mere Liye To MAA Hi meri kainat Hai,

Daman Mein MAA k Sirf Wafaon k Phool Hain,

Hm Saray Apni MAAON k qadmon ki Dhool Hain,

Aulad k Sitam Usay Hans ker Qubol Hain,

Bachon ko Baksh Dena Hi MAA k Usool Hain,

Din Rat Us Ne Pal k Hmko Bara kia,

Girne Laga to MAA Ne Mujhe Phir khara kia,

“Plz take care of ur ‘MOTHER.

**********************************************************

“A True Love”

Subha se sham tak sakht mehnat or kam k bad jab ghar poncha…
To
baap ne pocha, kia kamaya?

Bivi ne pocha, kia bachaya?

Oalaad ne pocha, kia laya?

Sirf

Maa ne pocha, din ko kuch kahaya?
;*)\/(ÅÅ*;
tujhe SALAM

(“-’)\
<)) /
_/|_

**********************************************************

Example of real love:

Sakht Garmi ki waja se Jism se Paseena behta hai,
Mene jab ye Paseena Apni Biwi k dupate se poncha to us ne kaha “Yar dupata ganda na kro”,

Jab Mene Paseena MAA k dupate se puncha to
MAA ne kaha “Beta ye dupata ganda hai Main tujhe saaf kapra deti hoon”.!
“Always Love your Mother”

**********************************************************

Jis mai Simty Saara jahan
Chota sa Wo aik lafz hy
“MAA”
Is Rishte se sb hain waqif
Koi na Samjhay kia hy
“MAA”
Pyar or Mohabbat karay har Dam,
Chahat ka aik Khazana hy
“MAA”
Qadmon Talay hY Jannat Us k,
Itni Azeem hoti hy
“MAA”
Us ki Azmat Un say Poucho Jin kay pass Nahi hy
“MAA”
Badal nahi Us ka Duniya Bhar mai,
Ik aisa Lazawal Rishta hY
¤
|\ /|| /\ /\
| \/ || /–\ /–\
Plz pray for every ones Mother.-


**********************************************************


Zindagi men 2 logo ka boht khayal rakhna.

1st
Wo jis ne tmhari JEET k liye boht kuch hara ho…
(BAAP)

2nd
Wo jis ko tm ne hr dukh me pukara ho…
(MAA)..

**********************************************************

Agar chaahte ho
sada muskurana

Kabhi apni MAA ka
dil mat dukhana

Karo apni MAA ki
hamesha ghulaami

Noker banega
tmhara zamana

Gussa na krna apni
MAA se

muhabbat
se MAA ko bulana

khushi se apni MAA
ki har baat maano

jannat me tera
banega thikana

Chale gi asmano pe
tarif teri

kabi apna gussa na
MAA KO DIKHANA*
(I LOVE U MAA)

**********************************************************

Meri pyar ki list mein hai sirf tumhara naam
Selection ki bhi list mein hai sirf tumhara naam
Tum hi meri maa aur meri dost ho
Mera pyaar hamesha tumhare saath ho.

**********************************************************

Mujy chand kehti ha MAA..

Sda chumti rehti ha MAA..

Me khush rahun is k liye..

Sary dukh sehti ha MAA..

Me uth na jaun kahin is liye..

Rat bhr na soti ha MAA..

Hoti ha sardi boht mgr..

Mery kpry zarur dhoti ha MAA..

Kb Ghar main aunga lot kr..

Meri rah takti rehti ha MAA..

Ay MAA hr olad ka tujko salam..

Teri himmat ko
Teri Azmat ko salam.

Dedicated to all the Angels on the Earth

in the face of loving

MAA I LOVE u

**********************************************************

Zara si Chot Lagy To Wo Aansu Baha Deti Hy

Apni Sukoon Bhari Goad Me HumKo Sula
Deti Hy

Karty Hain Khafa Hum Jub To Chutki Me Bhula Deti Hy

Hoti Hi Khafa HumSe To Duniya Ko B Bhula Deti Hy

Mat Gustakhi Karna Us “MAA” Se

Q K Jub Wo Chor Jaati Hy

To Ghar Ko Qabrustan Bana Deti Hy.


*******************************************************

No comments:

Post a Comment