Tuesday

MEra BacHpaN






 Bachpan Ka Zamana Hota Tha,

KhushioN Ka Khazana Hota Tha.

Chahat Chaand Ko Paane Ki,
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha.

Rone Ki Wajha Na Hoti Thi,
Hasne Ka Bahana Hota Tha.

Khaber Na Thai Kuch Subho Ki,
Na Shamo Ka Thikana Hota Tha.

Daadi Ki Kahani Hoti Thi,
Pariuon Ka Fasana Hota Tha.

Pedho Ki Shakhe Chutey They,
Mitti Ka Khilona Hota Tha.

Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,
Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha.

Barish Mein Kagaz Ki Kashti,
Har Mousam Suhana Hota Tha.

Wo Khel Wo Sathi Hotey They,
Na Rishta koi Nibhana Hota Tha.